Saturday 15 September 2018

P series 4 Hindi kavita (Hindi poetry) on politics

HINDI KAVITA   (Politics)

FEER EK BAAR ...... SIYASAT

Feer se siyasat suru ho gai hai ,
petrol desel k damo par ,
SC/ST aur SAWARN jaise naamo par ,
fir se siyasat suru ho gai hai .
bhaiyon aur bahno ,
 desh mein vikash aa raha hai ,
par bare dukh ki baat hai ,
desh hamara bat ta ja raha hai ,
kvi jo parosh wali khirki se , 
wo puchh parti hai - 
kya haal chal hai ,
hum v bare dukh se kah parte hai ,
vikash se badhaal hai ,
petrol desel sabke gharo mein aag lga rahi hai ,
mahangaiyee madhyamvargiyon ko ,
deemak ki tarah kha rahi hai ,
udhar koi netaa bharat band hai ,
bharat band hai chillata hai ,
are dam hai to bharat band kar k dikhao  ,
ek din to baccho ka school v band rahta hai ,
tum pura mahina band karwao ,
chalo choro ,
ek mahine ki tumhari aukaat nhi ,
chalo bs ek hafta hi bharat band karwao ,
ajeeb apne desh k haalaat hai ,
 kv maaika to kv sasuraal hai ,
paksh wipaksh do bigraiel bahuoon ki tarah jhagarti hai ,
aur aam janta roti hai bifarti hai ,
desh ki haalaat buddhi saas si behaal hai ,
aur raajnneeti ki tuti charpai si haal hai ,
desh hamara u hi barbaad nhi hua hai saahab ,
isme to satata lobhiyon ki chaal hai ,
hamare desh mein murkho ki kami nahi ,
hamara desh purana MURKHISTAAN hai .




poet : -ANISH RAJ ( KILLER ANISH )


SUBSCRIBE ON YOUTUBE :- KILLER ANISH .
THE WORLD OF KNOWLEDGE.













हिंदी कविता || सर्द राहों पे याद ओढ़े चला जाता हूं || Hindi kavita ||

  सर्द  राहों पे याद ओढ़े चला जाता हूं  सर्द  राहों पे याद ओढ़े चला जाता हूं  उसके आंखों में डूब डूब के उतराता हूं  खुली कित...